kuch palon ka faasla,
maine mehsoos kia hai....
Vo har pal ka zindagi ban jana,
maine mehsoos kia hai....
Vo baba ke gale me dukh se baat atak jana,
maine mehsoos kia hai....
Vo amma ka budhape me toot k jhar jana,
maine mehsoos kia hai....
Vo papa ka shunya me taankte reh jana,
maine mehsoos kia hai....
Vo maa ki aankho se chup chup k aansu behna,
maine mehsoos kia hai....
Vo aakhiri palon me dosto ka hasna hasana,
maine mehsoos kia hai....
Vo pyar ki ankho me soonapan bas jana,
maine mehsoos kia hai....
Vo har pal k saath dhadkane bad jana,
maine mehsoos kia hai....
Vo apna dard kisi ko na bata pana,
maine mehsoos kia hai....
Vo aakhiri saanso ka ragon me behna,
maine mehsoos kia hai....
Vo har pal ka marna...aur fir samhalna,
maine mehsoos kia hai....
1 comment:
u brot out the moments relly beautifully!!!!!!!!!!!!!!
awesome!!!!!!!!!
guess my children will b readin ur poems sum day...he he
Post a Comment